• هنرمندان این قطعه
  • شعر: بلال کاظمی

مداحی مولا امام رضا - ندیم سرور

501
منتشرشده در 25 شهریور 1402

مداحی بسیار زیبای «مولا امام رضا»‌ به زبان اردو را با صدای ندیم سرور، مداحی مشهور پاکستانی تماشا کنید.

متن مداحی مولا امام رضا - ندیم سرور

Yabna Zahra.
Maula Imam-e-Raza.
Salam ALLAH Aala Maula Imam-e-Raza.
Ya Ghareeb Ul-Gurba Ya Moeen Uz Zoafa.
Ya Ghareeb Ul-Gurba Maula Imam-e-Raza.
Salam ALLAH Aala Maula Imam-e-Raza.

Mere Maula Mere Masoom Ghareeb Ul-Gurba.
Mere Hadi Mere Mazloom Moeen Uz Zoafa.
Ho Salam Aap Pe Sarkar Mere Maula Raza.
Maula Mil Jaye Riza Aap Ki Razi Ho Khuda.
Syed-o-Aaqa Ya Imam-e-Raza.

Aap Ke Naam Ke Sakay Ka Imam-e-Zamin.
Mere Bazu Pe Bandha Rehta Hai Jo Raat Our Din.
Iss Ki Barkat Se Hoye Kam Hain Sare Mumkin.
Maula Mehfooz Hai Iss Se Mera Zahir Batin.
Dilbar-e-Zahra Ya Imam-e-Raza.

Aap Jaisa Na Howa Koi Ghareeb Ul-Gurba.
Aap Ko Shehar-e-Madina Mein Bhi Rehne Na Diya.
Qabar Zahra Ki Payamber Ka Bhi Roza Chota.
Aap Ko Aap Ke Baba Ki Tarha Qaid Kiya.
Chut Gaya Kunba Ya Imam-e-Raza.

Jis Ghari Chand Muharram Ka Nazar Aata Tha.
Karbala Walon Ka Gham Aap Ko Tarpata Tha.
Our Matam Se Gareban Phata Jata Tha.
Aah Kartay They Tu Yeh Arsh Bhi Tharata Tha.
Rota Tha Kaba Ya Imam-e-Raza.

Zehar Angor Mein Zalim Ne Milaya Haye Haye.
Qabar Mein Fatima Zahra Ko Rulaya Haye Haye.
Be Khata Shama-e-Imamat Ko Bhujaya Haye Haye.
Aik Mazloom Ko Syed Ko Sataya Haye Haye.
Aasmaan Roya Ya Imam-e-Raza.

Pohanchay Iran Mein Masooma-e-Qum Ke Jo Qadam.
Dekha Har Baam Pe Lehrata Hai Kala Parcham.
Gham Mein Bhai Ke Hai Doba Howa Sara Aalam.
Haye Mazloom Ka Bekas Ka Hai Ghar Ghar Matam.
Khush Hoi Behna Ya Imam-e-Raza.

Momino Uthta Hai Taboot Raza Ka Aao.
Dein Gi Ro Ro Ke Duaein Tumhein Zahra Aao.
Aao Sab Mil Ke Karein Matam-e-Maula Aao.
Aao Ik Behan Ko Dein Bhai Ka Pursa Aao.
Lijiye Pursa Ya Imam-e-Raza.

نظرت چیه؟

ناشناس 7 ماه پیش

عالی عالی عالی عالی عالی عالی عالی خیلی زیبا بود بی نظیر بود افرین عالی

از همین دسته بندی

موزیک ویدیوهای اخیر

ahangiato